اردو हिंदी
Gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae | Shaahi Shayari
gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae

Ghazal

Gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae

Athar Raz

;

gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae
saya-e-gul mein bhi hamraaz na hansne pae

yun tasawwur mein dabe panw teri yaad aai
jis tarah sham ki banhon mein sitare aae

waqt ki dhup mein hum saya-e-hasrat ban kar
do ghaDi ku-e-tamanna mein na chalne pae

zindagi mauj-e-talatum ki tarah ruk na saki
yun to har moD pe tufan hazaron aae

is se manzil ka pata puchh rahi hai duniya
jis ka manzil ke tasawwur se bhi ji ghabrae

'raaz' ehsas ke aangan mein hon tanha tanha
ghup andhera hai magar sath hain gham ke sae