gham ka mausam bit gaya so rona kya
kal ke gham ko aaj ke din mein bona kya
Thik hai hum ik-dusre ke mahbub nahin
lekin mere dost to ab bhi hona kya
aur bahut se kaam paDe hain karne ke
ashkon ke sat-range haar pirona kya
jis ko meri haalat ka ehsas nahin
us ko dil ka haal suna kar rona kya
be-shak sari raat kaTi hai aankhon mein
ab ujyara phail gaya to sona kya
tum ne hanste hanste nata toD liya
lekin sach sach batlao KHush hona kya
Ghazal
Gham ka mausam bit gaya so rona kya
Afzaal Firdaus