gham ka dariya sukh na jae us ki rawani kam na paDe
KHun-e-jigar bhi shamil kar lun aankh mein pani kam na paDe
us ke badan ki KHushbu ka kuchh toD nikalo aaj ki raat
aur koi KHushbu le aao raat-ki-rani kam na paDe
sal-do-sal ki baat nahin hai umr bahut darkar hai han
soch raha hun ishq ki KHatir ahd-e-jawani kam paDe
aaine ka dil nahin TuTe us ka bharam aabaad rahe
chehre par kuchh aur baDhao ye hairani kam na paDe
kar-e-jahan mein apni wusat se ye KHud hairan sa hai
aadam-zad ko mere maula aalam-e-fani kam na paDe
dard ke sare hi qisson ki yaad-dahani kar lena
hijr ki raat bahut lambi hai ek kahani kam na paDe
raaz bahut se aise bhi hain jo us ko malum nahin
mere yar ki sohbat tujh ko dushman-e-jaani kam na paDe
Ghazal
Gham ka dariya sukh na jae uski rawani kam na paDe
Zia Zameer