اردو हिंदी
Gham itne apne daman-e-dil se lipaT gae | Shaahi Shayari
gham itne apne daman-e-dil se lipaT gae

Ghazal

Gham itne apne daman-e-dil se lipaT gae

Zafar Ansari Zafar

;

gham itne apne daman-e-dil se lipaT gae
tujh se bichhaD ke hum kai qiston mein baT gae

kyun ye dayar mere liye tang sa laga
kya baat hai ki daman-e-sahra simaT gae

is se kahin bhi nam tumhaara nahin mila
hum har waraq kitab-e-wafa ke palaT gae

tum ghair se nibhao wafa hum ko bhul kar
jao tumhaari rah se hum aaj haT gae

ab jhelna paDega azab-e-gunah-e-ishq
us but-numa KHuda ke irade palaT gae

jab se mata-e-dard mili mujh ko ai 'zafar'
qad mere samne mere yaron ke ghaT gae