gham-e-jaanan se rangin aur koi gham nahin hota
ki is ke dard mein ehsas-e-besh-o-kam nahin hota
wo hain kam-zarf jin ka shor-e-nala kam nahin hota
chaman mein phul bhi to hain unhen kya gham nahin hota
kamal-e-zabt-e-girya azmat-e-shan-e-mohabbat hai
chhalak jae jo paimana wo jam-e-jam nahin hota
yahan tak dil ko aadat ho gai hai be-qarari ki
sukun-e-zindagi mein bhi taDapna kam nahin hota
tumhaari yaad hi ke sath dhaDkan baDh gai dil ki
tasawwur se mizaj-e-husn to barham nahin hota
KHizan ki uljhanen gulchin ka khaTka hai magar phir bhi
kali ka bagh mein lutf-e-tabassum kam nahin hota
kuchh aisi baat hai sayyaad jo hum muskuraate hain
nahin to aashiyan luTne ka kis ko gham nahin hota
na jaane kyun tumhaare gham ko duniya gham samajhti hai
masarrat se to is ka martaba kuchh kam nahin hota
'figar' is gulshan-e-hasti ka ibrat-KHez aalam hai
ki shabnam ro rahi hai gul ka hansna kam nahin hota
Ghazal
Gham-e-jaanan se rangin aur koi gham nahin hota
Figar Unnavi