اردو हिंदी
Gham-e-ishq rah gaya hai gham-e-justuju mein Dhal kar | Shaahi Shayari
gham-e-ishq rah gaya hai gham-e-justuju mein Dhal kar

Ghazal

Gham-e-ishq rah gaya hai gham-e-justuju mein Dhal kar

Shakeel Badayuni

;

gham-e-ishq rah gaya hai gham-e-justuju mein Dhal kar
wo nazar se chhup gae hain meri zindagi badal kar

teri guftugu ko naseh dil-e-gham-zada se jal kar
abhi tak to sun raha tha magar ab sambhal sambhal kar

na mila suragh-e-manzil kabhi umr bhar kisi ko
nazar aa gai hai manzil kabhi do qadam hi chal kar

gham-e-umr-e-muKHtasar se abhi be-KHabar hain kaliyan
na chaman mein phenk dena kisi phul ko masal kar

hain kisi ke muntazir hum magar ai umid-e-mubham
kahin waqt rah na jae yunhi karwaTen badal kar

mere dil ko ras aaya na jumud-o-ghair-fani
mili rah-e-zindagani mujhe KHar se nikal kar

meri tez-gamiyon se nahin barq ko bhi nisbat
kahin kho na jae duniya mere sath sath chal kar

kabhi yak-ba-yak tawajjoh kabhi dafatan taghaful
mujhe aazma raha hai koi ruKH badal badal kar

hain 'shakil' zindagi mein ye jo wusaten numayan
inhin wusaton se paida koi aalam-e-ghazal kar