اردو हिंदी
Gham-e-hayat ko likkha kitab ki manind | Shaahi Shayari
gham-e-hayat ko likkha kitab ki manind

Ghazal

Gham-e-hayat ko likkha kitab ki manind

Kamran Ghani Saba

;

gham-e-hayat ko likkha kitab ki manind
aur ek nam ki hai intisab ki manind

na jaane kah diya kis be-KHudi mein saqi ne
surur-e-tishna-labi hai sharab ki manind

bahut qarib se dekha to inkishaf hua
wo KHar KHar hai shaKH-e-gulab ki manind

mera sawal ki kis ne mujhe tabah kiya
tera sukut mukammal jawab ki manind

main apni aankhon ko rakhta hun ba-wazu har-dam
ki tera zikr muqaddas kitab ki manind

mujhe aziz hain KHwabon ki kirchiyan bhi 'saba'
kisi nigah mein hongi azab ki manind