اردو हिंदी
Gham-e-duniya nahin phir kaun sa gham hai hum ko | Shaahi Shayari
gham-e-duniya nahin phir kaun sa gham hai hum ko

Ghazal

Gham-e-duniya nahin phir kaun sa gham hai hum ko

Dattatriya Kaifi

;

gham-e-duniya nahin phir kaun sa gham hai hum ko
fikr-o-andesha-e-uqba se bhi ram hai hum ko

dahn-e-ghuncha se paigham-e-wafa sunte hain
ghaza-e-ariz-e-sad-hast-e-adam hai hum ko

qaul ye sach hai ki KHud-karda ka darman kya hai
dawar-e-hashr pe nahaq ka bharam hai hum ko

agle luqmon mein nahin qand-e-mukarrar ka maza
saKHt be-lutf-e-hayat-e-paiham hai hum ko

zist ki kashmakash aur marg ki qurbat ka alam
aamad-o-raft-e-nafas tegh-e-do-dam hai hum ko

baiThe baiThe jo kaTe phir tag-o-dau se hasil
har-nafas jada-e-hasti mein qadam hai hum ko

zarre zarre mein nazar aati hai taswir-e-sanam
sar-ba-sar ru-kash-e-sad-dair-o-haram hai hum ko

bar-e-gham bar se ehsan ke badal jata hai
tauq-e-gardan kashish-e-kaf-e-karam hai hum ko

haal-e-dil likhte na logon ki zaban mein paDte
wajh-e-angusht-numai ye qalam hai hum ko

aankh kya Daliye us gul pe jo kumhla jae
'kaifi' apna hi ye dil bagh-e-iram hai hum ko