اردو हिंदी
Gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke | Shaahi Shayari
gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke

Ghazal

Gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke

Hafeez Hoshiarpuri

;

gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke
tohmat-e-ishq lagi hum pe suKHan-war ban ke

wo nahin maut sahi maut nahin nind sahi
koi aa jae shab-e-gham ka muqaddar ban ke

rahbar tum ko banaya hamein malum na tha
rah-rau rah bhaTak jate hain rahbar ban ke

is ziyan-KHane mein ek qatre pe kya kya guzri
kabhi aansu kabhi shabnam kabhi gauhar ban ke

maut ki nind ke maton pe na kyun rashk aae
jagna hai unhen hangama-e-mahshar ban ke

yaad phir aa gain bhuli hui baaten kya kya
phir mulaqat hui aise muqaddar ban ke

aah ye uqda-e-gham bazm-e-tarab mein bhi 'hafiz'
bar-ha aankh chhalak jati hai saghar ban ke