gali kuchon mein jab sab jal-bujha aahista aahista
gharon se kuchh dhuan uThta raha aahista aahista
kai bechainiyon ki shiddat-e-izhaar ki KHatir
mujhe har lafz par rukna paDa aahista aahista
adam hasti fana aur phir baqa ek daera sa hai
samajh mein aa hi jaega KHuda aahista aahista
masihai ki subhon sabr ki raaton ke aangan mein
lahu bahta raha bahta raha aahista aahista
fasil-e-shahr bante hi chale aae alam us ke
meri pahchan ka parcham khula aahista aahista
itaat mein bhi tahrim-e-ana ki fikr lazim hai
sar-e-taslim bhi apna jhuka aahista aahista
'munir' ahl-e-tahammul ka junun se wasta kya hai
mohabbat jura jura aur wafa aahista aahista

Ghazal
Gali kuchon mein jab sab jal-bujha aahista aahista
Syed Muneer