gali ka patthar tha mujh mein aaya bigaD aisa 
main Thokaren kha ke ho gaya hun pahaD aisa 
KHuda KHabar dil mein koi aaseb hai ki is mein 
koi na aaya gaya paDa hai ujaD aisa 
na sar uTha pae koi bhaunchaal mujh mein ai waqt 
main narm miTTi hun so mujhe tu lataD aisa 
chahaar jaanib paDe hain purze nigah-o-dil ke 
hamara is ishq ne kiya hai kabaD aisa 
main bhul baiTha hun hansna 'fartash' bhul baiTha 
hua hai KHushiyon ka band mujh par kiwaD aisa
        Ghazal
Gali ka patthar tha mujh mein aaya bigaD aisa
Fartash Syed

