اردو हिंदी
Ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh | Shaahi Shayari
ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh

Ghazal

Ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh

Aziz Hamid Madni

;

ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh
sharab lao gham-e-kufr-o-din darogh darogh

hazar naKHl-e-guman hain abhi numud-asar
azal ke din se hai kisht-e-yaqin darogh darogh

hadis-e-rashk-e-raqiban hui hai jis ki nazar
main aur us ki lagan ham-nashin darogh darogh

KHud apni masti-e-pinhan se hath aata hai
shikar-e-nafa-e-ahu-e-chin darogh darogh

main aur shikwa-e-sarai-e-zaKHm-e-be-sababi
tu aur dashna tah-e-astin darogh darogh

zarur koi nazar hai harif-e-KHud-nigari
wo aur bazm mein chin-bar-jabin darogh darogh

malul kuchh gham-e-baalidgi se hai warna
sirisht-e-gul ko malal-e-zamin darogh darogh

sadaen din tujhe KHalq-e-KHuda ne maqtal se
teri gali mein KHabar tak nahin darogh darogh