ghairon ke sath gate jate ho
chuTkiyon mein hamein uDate ho
kaun ustad mil gaya kaamil
kis se zarben ye sikh aate ho
naqsh kis ka upar uTha munh par
ab to naqsha naya biThate ho
kabhu so rahte ho dupaTTa tan
kabhi ek tan mar jate ho
kabhu karte ho jhanjh aa hum se
kabhi jhanjh aur daf bajate ho
kabhu laDne ka tar hai aur gah
tar tambur par chaDhate ho
tali dai thapDi mar aur laD-bhiD
thap murdang par lagate ho
hoti hai jab kahen se dut-dapak
kyun hamein aa ke khaDkhaDate ho
wada Talta hai jab tu rah mein dekh
butti de mujh ko giDgiDate ho
'azfari' dost ko rula piyare
dushmanon ke tain hansate ho
Ghazal
Ghairon ke sath gate jate ho
Mirza Azfari