gae dinon ki raqabat ko wo bhula na sake
sharik-e-bazm the lekin nazar mila na sake
azab-e-hijr ke lamhat hum bhula na sake
dayar-e-ghair mein ek pal sukun pa na sake
bahut baid na tha masalon ka hal hona
ana ke panw se zanjir hum haTa na sake
talluqat mein had-darja ehtiyat rahi
qarib aa na sake wo mujhe bhula na sake
fareb kha gae tab ja ke inkishaf hua
qarib rah ke bhi hum un ko aazma na sake

Ghazal
Gae dinon ki raqabat ko wo bhula na sake
Ahmad Ashfaq