gada dast-e-ahl-e-karam dekhte hain
hum apna hi dam aur qadam dekhte hain
na dekha jo kuchh jam mein jam ne apne
so yak qatra-e-mai mein hum dekhte hain
ye ranjish mein hum ko hai be-iKHtiyari
tujhe teri kha kar qasam dekhte hain
gharaz kufr se kuchh na din se hai matlab
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
hubab-e-lab-e-ju hain ai baghban hum
chaman ko tere koi dam dekhte hain
nawishte ko mere miTate hain ro ro
malaek jo lauh o qalam dekhte hain
miTa jae hai harf harf aansuon se
jo nama use kar raqam dekhte hain
akaD se nahin kaam sumbul ki hum ko
kisi zulf ka pech o KHam dekhte hain
KHuda dushmanon ko na wo kuchh dikhae
jo kuchh dost se apne hum dekhte hain
sitam se kiya tu ne hum ko jo KHugar
karam se tere hum sitam dekhte hain
magar tujh se ranjida-KHatir hai 'sauda'
use tere kuche mein kam dekhte hain
Ghazal
Gada dast-e-ahl-e-karam dekhte hain
Sauda Mohammad Rafi