fursat mein raha karte hain fursat se zyaada
masruf hain hum log zarurat se zyaada
milta hai sukun mujh ko qanaat se zyaada
masrur hun main apni masarrat se zyaada
chalta hi nahin danish o hikmat se koi kaam
banti hai yahan baat himaqat se zyaada
tanha main hirasan nahin is kar-e-junun mein
sahra hai pareshan meri wahshat se zyaada
ab koi bhi sachchai mere sath nahin hai
yani main gunahgar hun tohmat se zyaada
is reg-e-rawan ko main sameTun bhi kahan tak
bikhra hai wo har-su meri wusat se zyaada
raushan hai bahut jhuT mere ahd mein 'aKHtar'
afsana munawwar hai haqiqat se zyaada
Ghazal
Fursat mein raha karte hain fursat se zyaada
Sultan Akhtar