اردو हिंदी
Fughan ke sath tere rahat-e-qarar chale | Shaahi Shayari
fughan ke sath tere rahat-e-qarar chale

Ghazal

Fughan ke sath tere rahat-e-qarar chale

Nazar Hyderabadi

;

fughan ke sath tere rahat-e-qarar chale
nawa-garan-e-wafa himmaton ko haar chale

ye kya ki phul khile aur zaKHm risne lage
mile sukun bhi agar baad-e-nau-bahaar chale

ye multafit si nigahen farogh-e-jam ke sath
chale ye daur chale aur bar-bar chale

hazar barhami-e-zulf-e-yar bhi dekhi
tujhe to kakul-e-giti magar sanwar chale

KHayal-o-ilm ka bhi mol-tol hota hai
hamare ahd mein kya kya na karobar chale

hayat sath chali kaenat sath chali
ajib shan se kuchh log su-e-dar chale

wahi to the kabhi chashm-o-charag-e-mahfil-e-gham
jo be-qarar se uTThe jo ashk-bar chale

thake thake se qadam aur tawil rah-e-hayat
musafiran-e-adam bojh sa utar chale

zamin-e-faiz sitare luTa rahi hai 'nazar'
ye kya ki aap yahan se bhi sogwar chale