fughan-e-dard mein bhi dard ki KHalish hi nahin
dilon mein aag lagi hai magar tapish hi nahin
kahan se laen wo soz-o-gudaz dil wale
ki dilbari ka wo aahang wo rawish hi nahin
haqiqaton ke bhi tewar badal to sakte hain
hamari bazm mein KHwabon ki wo KHalish hi nahin
dimagh kyun na ho sahil pe sone walon ka
kabhi kabhaar jo tufan ki sarzanish hi nahin
lubhaega use kya chand ka KHunuk jadu
jise nasib kaDi dhup ki tapish hi nahin
zamana qissa-e-dar-o-rasan ko bhul na jae
kisi ke halqa-e-gesu mein wo kashish hi nahin
ye rang-o-bu ke tilismat kis liye hain 'surur'
bahaar kya hai junun ki jo parwarish hi nahin
Ghazal
Fughan-e-dard mein bhi dard ki KHalish hi nahin
Aal-e-Ahmad Suroor