fitrat ko KHirad ke ru-ba-ru kar
tasKHir-e-maqam-e-rang-o-bu kar
tu apni KHudi ko kho chuka hai
khoi hui shai ki justuju kar
taron ki faza hai be-karana
tu bhi ye maqam-e-arzu kar
uryan hain tere chaman ki huren
chaak-e-gul-o-lala ko rafu kar
be-zauq nahin agarche fitrat
jo us se na ho saka wo tu kar
Ghazal
Fitrat ko KHirad ke ru-ba-ru kar
Allama Iqbal