اردو हिंदी
Faza mein zulf ke jadu agar bikhar jate | Shaahi Shayari
faza mein zulf ke jadu agar bikhar jate

Ghazal

Faza mein zulf ke jadu agar bikhar jate

Musavvir Sabzwari

;

faza mein zulf ke jadu agar bikhar jate
hawa ke sath bahut log dar-ba-dar jate

bhala hua ki hui jins-e-gham ki arzani
hum apne dagh dikhane nagar nagar jate

na jalta koi charagh-e-sada to sab sar-e-sham
lipaT ke apne gharon ke sutun se mar jate

ek aisa lamha-e-sham-e-KHizan bhi guzra hai
mujhe jo dekhte is lamha tum to Dar jate

hamein na rok rawan hain misal-e-para-e-abr
hamare bas mein jo hota to hum Thahar jate

'musawwir' aa ke na Thahra koi bhi KHwabon mein
udas raaton ki aankhon mein rang bhar jate