اردو हिंदी
Faza mein kaif-fashan phir sahab hai saqi | Shaahi Shayari
faza mein kaif-fashan phir sahab hai saqi

Ghazal

Faza mein kaif-fashan phir sahab hai saqi

Charkh Chinioti

;

faza mein kaif-fashan phir sahab hai saqi
phir apne rang pe daur-e-shabab hai saqi

ye talKH yaaden kam-az-kam bhula to deti hai
sharab kuchh bhi ho aaKHir sharab hai saqi

jo apni hasti ki masti miTa ke aata hai
tere huzur wahi baryab hai saqi

gham-e-firaq gham-e-zindagi gham-e-duniya
sharab sare ghamon ka jawab hai saqi

teri nigahon se maiKHane jam bharte hain
teri nigahon ka koi jawab hai saqi

ba-qaul-e-'charKH' yahan mastiyan ubharti hain
ye mai-kada to jahan-e-shabab hai saqi