faza-e-zehn ki jalti hawa badalne tak
main bujh na jaun lihaf-e-ana badalne tak
charagh-e-jism mein is bar bujh na jaun main
hawa-e-KHema-e-shab ki rida badalne tak
phir aaj kufe se hijrat bahut zaruri hai
palaT ke aaenge aab-o-hawa badalne tak
ajib log hain duniya teri hawas ke liye
tule hue hain KHud apna KHuda badalne tak
kashid karte hain zindan ki wadiyon se umid
qafas badalne hain zanjir-e-pa badalne tak
usul kanp rahe the badan ki bhaTTi mein
qanaaton ki mukammal faza badalne tak
mere lahu ka namak chakh liya hai us ne bhi
wo KHush rahega bahut zaiqa badalne tak
safed barf pe nachi bahaar ji-bhar ke
nizam-e-qudrat-e-kohna ki ja badalne tak

Ghazal
Faza-e-zehn ki jalti hawa badalne tak
Sanjay Mishra Shauq