fasl-e-gul tohmat-e-junun lai
basti basti hui hai ruswai
shahr mein jab se aa gaya hun tere
aur bhi baDh gai hai tanhai
aarzu ek na-shagufta kali
jo sar-e-shaKH-sar murjhai
aashiqi ek dabi hui si choT
bhige mausam mein jo ubhar aai
zindagi sham-e-gham ki banhon mein
ek sulagti hui si tanhai
log kahte hain ahl-e-dil ko kabhi
zindagi ras hi nahin aai
hausla ho to ai gham-e-jaanan
kaun tera nahin tamannai

Ghazal
Fasl-e-gul tohmat-e-junun lai
Shahid Ishqi