fasl-e-gul bhi taras ke kaTi hai
umr kanTon mein bas ke kaTi hai
main ne ro kar guzar di ai abr
jaise tu ne baras ke kaTi hai
ho ke paband-e-ulfat-e-sayyaad
zindagi be-qafas ke kaTi hai
soz-e-ulfat mein zindagi main ne
ghair ka munh jhulas ke kaTi hai
zindagi-bhar rahe hasinon mein
umr phulon mein bas ke kaTi hai
us ne kis naz se meri gardan
kamar-e-shauq kas ke kaTi hai
us ki hasrat hai did ke qabil
jis ne 'muztar' taras ke kaTi hai
Ghazal
Fasl-e-gul bhi taras ke kaTi hai
Muztar Khairabadi