fasil-e-shahr se kyun sab ke sab nikal aae
hamein KHabar na hui jaane kab nikal aae
qadam qadam pe yahan qahqahe bichhe hue hain
ye kaise shahr mein hum be-sabab nikal aae
wo raushni mein nahaya hua tasawwur tha
andhera baDhta gaya dast-e-shab nikal aae
ab is se pahle ki ruswai apne ghar aati
tumhaare shahr se hum ba-adab nikal aae
phir ek lamhe ko Thahra nahin gaya hum se
hamare dil ne kaha ab, to ab nikal aae

Ghazal
Fasil-e-shahr se kyun sab ke sab nikal aae
Moid Rashidi