fasil-e-dard ko mismar karne wali hun
main aansuon ki nadi par karne wali hun
mujhe KHuda ki raza se hai wasta har dam
main KHud-numai se inkar karne wali hun
ye us ki marzi ki iqrar wo kare na kare
main aaj KHwahish-e-izhaar karne wali hun
wo jis ne ki hai hamesha muKHalifat meri
usi ko apna madad-gar karne wali hun
wafa ki rah mein KHud ko tabah kar ke main
tamam shahr ko bedar karne wali hun
koi na Dale nigah-e-ghalat ki main apne
nihatte hathon ko talwar karne wali hun

Ghazal
Fasil-e-dard ko main mismar karne wali hun
Siya sachdev