fasana-e-gham-e-dil muKHtasar nahin hota
ab us gali se hamara guzar nahin hota
hazar aise ki phirte hain jo KHalaon mein
magar ek hum ki watan mein safar nahin hota
jise masil samajhte ho be-misal hai wo
jo ek bar ho bar-e-digar nahin hota
KHud apna sath bhi hum ko giran guzarta hai
safar wahi hai jahan ham-safar nahin hota
amir us ka lahu pi raha hai barson se
magar gharib pe koi asar nahin hota
KHala se guzre hain mirriKH par bhi pahunche hain
magar kisi ka falak par guzar nahin hota
Ghazal
Fasana-e-gham-e-dil muKHtasar nahin hota
Khalid Hasan Qadiri