fasana ab koi anjam pana chahta hai
talluq TuTne ko ek bahana chahta hai
jahan ek shaKHs bhi milta nahin hai chahne se
wahan ye dil hatheli par zamana chahta hai
mujhe samjha rahi hai aankh ki tahrir us ki
wo aadhe raste se lauT jaana chahta hai
ye lazim hai ki aankhen dan kar de ishq ko wo
jo apne KHwab ki tabir pana chahta hai
bahut ukta gaya hai be-sukuni se wo apni
samundar jhil ke nazdik aana chahta hai
wo mujh ko aazmata hi raha hai zindagi bhar
magar ye dil ab us ko aazmana chahta hai
use bhi zindagi karni paDegi 'mir' jaisi
suKHan se gar koi rishta nibhana chahta hai
Ghazal
Fasana ab koi anjam pana chahta hai
Humaira Rahat