farz-e-supurdagi mein taqaze nahin hue
tere kahan se hon ki hum apne nahin hue
kuchh qarz apni zat ke ho bhi gae wasul
jaise tere supurd the waise nahin hue
achchha hua ki hum ko maraz la-dawa mila
achchha nahin hua ki hum achchhe nahin hue
us ke badan ka moD baDa KHush-gawar hai
hum bhi safar mein umr se Thahre nahin hue
ek roz khel khel mein hum us ke ho gae
aur phir tamam umr kisi ke nahin hue
hum aa ke teri bazm mein be-shak hue zalil
jitne gunahgar the utne nahin hue
is bar jang us se raunat ki thi so hum
apni ana ke ho gae us ke nahin hue
Ghazal
Farz-e-supurdagi mein taqaze nahin hue
Vipul Kumar