fart-e-alam se aah kiye ja raha hun main
ai ishq kya gunah kiye ja raha hun main
maqbul honge dahr mein dagh-e-jigar mere
un ko charagh-e-rah kiye ja raha hun main
ranj o alam ka lutf uThane ke waste
rahat se bhi nibah kiye ja raha hun main
gulzar-e-kaam-rani o duniya-e-arzu
aamal se tabah kiye ja raha hun main
mujh ko ata hua tha dil-e-aina-jamal
sad haif use siyah kiye ja raha hun main
gham kah raha hai kaun hai mujhe se siwa aziz
sab ke dilon mein rah kiye ja raha hun main
Ghazal
Fart-e-alam se aah kiye ja raha hun main
Jagdish Sahay Saxena