fariyaad ki wo shoKH sitamgar na aaya
mujh qatl kun le hath mein talwar na aaya
main pamba-naman narm kiya bistar-e-tan kun
wo piu qadam dharne ko yakbar na aaya
chhuT aah pichhe kaun mere dard ka ahwal
mujh dukh ki KHabar lene wo gham-KHwar na aaya
jaane hai wafadar mujhe dil mane lekin
dahshat se raqiban ki wo na-chaar na aaya
aaram gaya bhuk nahin nind gai bhul
afsos ki wo tala-e-bedar na aaya
bulbul ki naman aas hai nit bas ki mujh kun
sad-haif mere pas wo gulzar na aaya
bazar-e-suKHan garm kiya us ki sifat sun
mujh sher ka haihat KHaridar na aaya
likh bar saha bagh mein mali ka tahura
par sair katin wo gul-e-be-e-KHar na aaya
ai 'mubtala' ye baat likha dil ke upar main
ek roz mujh aaghosh mein wo yar na aaya

Ghazal
Fariyaad ki wo shoKH sitamgar na aaya
Obaidullah Khan Mubtala