farishte bhi pahunch sakte nahin wo hai makan apna
Thikana DhunDe daur-e-zamin-o-asman apna
KHuda jabbar hai har banda bhi majbur o tabe hai
do aalam mein nazar aaya na koi mehrban apna
nigah-e-muztarib phir DhunDti hai kis ko har shai mein
zamin apni aziz apne KHuda-e-do-jahan apna
guzarne ko to guzre ja rahe hain rah-e-hasti se
magar hai karwan apna na mir-e-karwan apna
na wo parwaz ki quwwat na wo dil ki umang ab hai
hui muddat chaman chhuTe qafas hai aashiyan apna
paheli KHud thi hasti ishq ne kuchh aur uljhai
koi ai 'sehr' kya samjhe nahin main raaz-dan apna
Ghazal
Farishte bhi pahunch sakte nahin wo hai makan apna
Sehr Ishqabadi