fareb tha aql-o-agahi ka ki meri fikr-o-nazar ka dhoka 
jo aaKHir-e-shab ki chandni par hua tha mujh ko sahar ka dhoka 
main baghbanon ki sazishon ko siyasaton ko samajh chuka hun 
KHizan ka kha kar fareb-e-paiham uTha ke barq-o-sharar ka dhoka 
shuur-e-puKHta ki KHair ho jis ne zindagi ko bacha liya hai 
teri nigah-e-karam-numa ne diya to tha umr-bhar ka dhoka 
duaon ko hath uTha raha hun ye KHud-farebi mulahiza ho 
fareb-e-taskin ka bura ho main kha raha hun asar ka dhoka 
dikhai deti hai masKH 'nayyar' hasin surat bhi zindagi ki 
qusur hai aaine ka is mein ki hai ye aaina-gar ka dhoka
        Ghazal
Fareb tha aql-o-agahi ka ki meri fikr-o-nazar ka dhoka
Sajjad Baqar Rizvi

