fareb-e-aql mein majnun-e-ishq aa na saka
bhula diya use aankhon ne dil bhula na saka
farogh-e-husn se raaten wo jagmaga na saka
harim-e-ishq mein jo sham-e-dil jala na saka
bhula diya ho kabhi yaad kar ke mumkin hai
magar main bhul ke tujh ko kabhi bhula na saka
na dil mila na milin dil ki lazzaten us ko
jo tere dard-e-mohabbat ko dil bana na saka
diye jawab meri masiyat ke rahmat se
hum us ko bhul gae wo hamein bhula na saka
mujhe junun-e-mohabbat ne us jahan mein rakha
ki jis jahan mein koi inqalab aa na saka
guzar gaya hai mohabbat mein ek wo aalam bhi
ki muddaton mujhe tu KHud bhi yaad aa na saka
tajalliyan use apni nazar jab aane lagin
nigah-e-ishq mein phir husn bhi sama na saka
udhar karishma-e-husn un ki pak-damani
idhar ye haal ki iman koi bacha na saka
quyud-e-ishq se shahid guzar gaya ho koi
hudud-e-husn se lekin nikal ke ja na saka
na ban gaya ho tera ishq-e-iztirab kahin
tasalliyon se teri iztirab ja na saka
guzar gai thi tere sath zindagi kuchh din
phir us ke baad maza zindagi ka aa na saka
hamesha dair-o-haram mein hain shorishen jis se
wo inqalab kabhi mai-kade mein aa na saka
tamam-umr ko jab ho gae the wo mere
tamam-umr kabhi phir wo waqt aa na saka
ajib chiz hai hasti ki nisti 'bismil'
ki jo yahan se gaya phir kabhi wo aa na saka
Ghazal
Fareb-e-aql mein majnun-e-ishq aa na saka
Bismil Saeedi