farar pa na saka koi rasta mujh se
hazar bar mera samna hua mujh se
daraKHt hath hilate the rahnumai ko
musafiron ne to kuchh bhi nahin kaha mujh se
ye be-hunar bhi nahin sath bhi nahin dete
na jaane hai mere hathon ko bair kya mujh se
main lauTne ke tasawwur se KHauf khata hun
lipaT na jaen kahin mere naqsh-e-pa mujh se
hazar bar janam bhi liya to kya 'ashhar'
mera wajud bichhaDta chala gaya mujh se
Ghazal
Farar pa na saka koi rasta mujhse
Iqbal Ashhar Qureshi