fan jo nadar tak nahin pahuncha
abhi meayar tak nahin pahuncha
us ne bar-waqt be-ruKHi barti
shauq aazar tak nahin pahuncha
aks-e-mai ho ki jalwa-e-gul ho
rang-e-rukHsar tak nahin pahuncha
harf-e-inkar sar buland raha
zoaf-e-iqrar tak nahin pahuncha
hukm-e-sarkar ki pahunch mat puchh
ahl-e-sarkar tak nahin pahuncha
adl-gahen to dur ki shai hain
qatl aKHbar tak nahin pahuncha
inqilabaat-e-dahr ki buniyaad
haq jo haqdar tak nahin pahuncha
wo masiha-nafas nahin jis ka
silsila-dar tak nahin pahuncha
Ghazal
Fan jo nadar tak nahin pahuncha
Sahir Ludhianvi