falak ke na in mah-paron ko dekho
jo miTTi mein hain un sitaron ko dekho
kabhi karwan bhi numudar hoga
nigahen jamae ghubaron ko dekho
nikal kar kabhi sahr-e-sud-o-ziyan se
mohabbat ke ujDe dayaron ko dekho
chaman mein ye kis chaal se chal rahe ho
na phulon ko dekho na KHaron ko dekho
zaban husn ki mo'atabar kab hui hai
kinayon ko samjho ishaaron ko dekho
musalleh qataren idhar bhi udhar bhi
zara amn ki rah-guzaron ko dekho
chaman ki KHizan par na aansu bahao
nazar hai to kal ki bahaaron ko dekho
na dekho daraKHton ki duri chaman mein
lipaTti hui shaKH-saron ko dekho
zara jhank kar ghurfa-e-mai-kada se
taraste labon ki qataron ko dekho
kisi ke sitam ko bhi samajhte tawajjoh
are in taghaful ke maron ko dekho
wo daur-e-hayat-e-jahan aa gaya hai
bhanwar mein raho aur kinaron ko dekho
baDho aur hathon ka ek pal bana lo
kinaron se kab tak sawaron ko dekho
bina-e-baqa dhamkiyon par fana ki
nae jag ke pawardigaron ko dekho
kabhi nam-e-'mulla' na aaya zaban tak
ye duniya hai 'mulla' ke yaron ko dekho
Ghazal
Falak ke na in mah-paron ko dekho
Anand Narayan Mulla