اردو हिंदी
Faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai | Shaahi Shayari
faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai

Ghazal

Faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai

Hashim Raza Jalalpuri

;

faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai
aadmi ishq mein majbur bhi ho sakta hai

waqt ke pas nahin zaKHm-e-mohabbat ka ilaj
waqt ke sath ye nasur bhi ho sakta hai

ji mein aata hai use hath laga kar dekhun
nur sa lagta hai, wo nur bhi ho sakta hai

apne kandhon pe salibon ko uThae hue hain
ishq-zadon ka ye dastur bhi ho sakta hai

zehn ka kya hai ki bachne ke bahane DhunDe
dil to jaanbaz hai, mansur bhi ho sakta hai

sher kahne ka saliqa nahin 'hashim' ko magar
teri tanqid se mashhur bhi ho sakta hai