faslon ki barf pighlegi mujhe ye Dar na tha
is se pahle lams ka suraj mere sar par na tha
dil ke darwaze pe dastak de raha tha kaun tha
ek zara socha koi chehra koi paikar na tha
aaine ki zid thi banTe jaen chehron ke nuqush
warna main bhi kanch ki guDiyon ka saudagar na tha
zard ThiThuri dhup mein pahne hue uryan badan
main ne pahchana wo diwana na tha KHud-sar na tha
is se pahle ya to 'iraj' ne kabhi dekha na chand
ya kabhi is tarah pahle chand shoala-gar na tha

Ghazal
Faslon ki barf pighlegi mujhe ye Dar na tha
Muzaffar Iraj