ek tumhaare pyar ki KHatir jag ke dukh apnae the
hum ne apne ek dip se kitne dip jalae the
sirf jawani ke kuchh din hi umr ka hasil hote hain
aur jawani ke ye din bhi hum ko ras na aae the
husn ko hum ne amar kaha tha pyar ko sachcha jaana tha
ek jawani ke kas-bal par sare sach jhuTlae the
us ke bina jo umr guzari be-masraf si lagti thi
us ki gali mein umr ganwa kar bhi hum hi pachhtae the
be-mehri ki tohmat bhi hai mehr-o-murawwat walon par
usi hawa ne murjhae hain jis ne phul khilae the
gharq-e-baada-e-nab hue wo chand se chehre phul se jism
tum ne jin ki yaad mein 'ishqi' jam kabhi Takrae the
Ghazal
Ek tumhaare pyar ki KHatir jag ke dukh apnae the
Shahid Ishqi