ek to duniya ka karobar hai
ishq ka us par alag aazar hai
kaun is ja sahab-e-kirdar hai
har koi bas ghazi-e-guftar hai
subah tak uThti rahi aah-o-fughan
kaun mujh mein sham se bedar hai
ahl-e-dil aae yahan taKHir se
ab kahan wo garmi-e-bazar hai
shor mein Duba hua hai ghar tamam
aur sannaTa pas-e-diwar hai
main hua be-lutf us ke qurb se
wo bhi meri shakl se bezar hai
sare dushman ho gae zer-e-nagin
KHud se ab wo bar-sar-e-paikar hai
har qadam par laDkhaData hun 'salim'
rasta shayad bahut hamwar hai

Ghazal
Ek to duniya ka karobar hai
Saleem Faraz