ek tarik KHala us mein chamakta hawa main
ye kahan aa gaya hasti se sarakta hua main
shola-e-jaan se fana hota hun qatra qatra
apni aankhon se lahu ban ke Tapakta hua main
aagahi ne mujhe baKHshi hai ye nar-e-KHud-soz
ek jahannam ki tarah KHud mein bhaDakta hua main
muntazir hun ki koi aa ke mukammal kar de
chaak par ghumta bal khata darakta hua main
majma ahl-e-haram naqsh-ba-diwar udhar
aur idhar shor machata hua bakta hua main
mere hi dam se mili saat-e-imkan use
waqt ke jism mein dil ban ke dhaDakta hua main
be-niyazi se meri aate hue tang ye log
aur logon ki tawajjoh se bidakta hua main
raat ki raat nikal jata hun KHud se bahar
apne KHwabon ke taaqub mein humakta hua main
aisi yakjai ki miT jae tamiz-e-man-o-tu
mujh mein khilta hua tu tujh mein mahakta hua main
ek to wo husn-e-junun-KHez hai aalam mein shuhud
aur ek husn-e-junun-KHez ko takta hua main
ek aawaz paDi thi ki koi sail-e-hijr?
aan ki aan mein pahuncha tha lapakta hua main
hai kashid-e-suKHan-e-KHas wadiat mujh ko
ghumta phirta hun ye itr chhiDakta hua main
raaz-e-haq fash hua mujh pe bhi hote hote
KHud tak aa hi gaya 'irfan' bhaTakta hua main
Ghazal
Ek tarik KHala usMein chamakta hawa main
Irfan Sattar