ek raat aap ne ummid pe kya rakkha hai
aaj tak hum ne charaghon ko jala rakkha hai
sausan o nastaran o sumbul o raihan o gulab
teri yaadon ko gulistan mein chhupa rakkha hai
wajh-e-awargi-e-ishq-e-fasurda malum
nigah-naz ko parda sa bana rakkha hai
dard daulat hi sahi pahlu-e-rahat hi sahi
kuchh dinon ishq ne bhi KHud ko bacha rakkha hai
le uDe ahl-e-junun husn ki ek ek ada
KHalwat o bazm mein ab farq hi kya rakkha hai
hae KHushbu se tere dard ki nisbat na gai
main ne har phul ko sine se laga rakkha hai
aaj to shikwa-e-mahrumi-e-didar nahin
hum ne kal ke liye is gham ko uTha rakkha hai
Ghazal
Ek raat aapne ummid pe kya rakkha hai
Shaz Tamkanat