ek nashtar sa rag-e-jaan mein utarne dena
zinda rahna hai to zaKHmon ko na bharne dena
aur kuchh der na ai tez hawao thamna
jitne bosida hain safhat bikharne dena
teri pahchan ki ek qaus alag ban jae
apne lahje ko zara aur sanwarne dena
chhu ke dekhenge to phir un se bhi nafrat hogi
aasmanon ko zamin par na utarne dena
meri binai ke sab dip bujha kar jaana
sanehe sare meri jaan guzarne dena
dekhna KHwab-zaminen na hun banjar 'qayyum'
apna ye dard ye aashob na marne dena

Ghazal
Ek nashtar sa rag-e-jaan mein utarne dena
Qayyum Tahir