ek nazuk dil ke andar hashr barpa kar diya 
hae hum ne kyun ye izhaar-e-tamanna kar diya 
ab nahin hai KHushk aankhon mein siwa wahshat ke kuchh 
intiha-e-gham ne kya dariya ko sahra kar diya 
un ke dar ko chhoD kar dar dar bhaTakte hum rahe 
wahshat-e-dil ne ajab anjam ulTa kar diya 
waswase ummid ke dam se jo the sab miT gae 
intiha-e-dard ne gham ka mudawa kar diya 
lab pe luknat aankhon mein wahshat hai chehra zard hai 
ishtiyaq-e-hur ne zahid ko kaisa kar diya 
go nahin ummid us se thi inayat ki magar 
ye tha farz-e-ashiqi hum ne taqaza kar diya 
ek nizaa-e-mustaqil rahti hai aql-o-shauq mein 
tark-e-ulfat ne to ab dushwar jina kar diya 
dil to tha ek qatra-e-KHun kya haqiqat us ki thi 
tere gham ne qulzum-e-zaKHKHar jaisa kar diya 
iftira-o-makr se shayad tujhe milta waqar 
haq-parasti ne tujhe ai 'kaif' ruswa kar diya
        Ghazal
Ek nazuk dil ke andar hashr barpa kar diya
Saraswati Saran Kaif

