اردو हिंदी
Ek main hun aur lakh masail KHuda gawah | Shaahi Shayari
ek main hun aur lakh masail KHuda gawah

Ghazal

Ek main hun aur lakh masail KHuda gawah

Gulzar Vafa Chaudari

;

ek main hun aur lakh masail KHuda gawah
dast-e-talab hai kasa-e-sail KHuda gawah

aankhen khulin to aur hi manzar tha ru-ba-ru
KHud main tha apni rah mein hail KHuda gawah

ye kaenat raqs mein hai ek mere liye
pahne hue nujum ki pael KHuda gawah

dil mein mohabbaten hain to aaankhon mein hairaten
mere faqat yahi hain wasael KHuda gawah

munsif teri taraf sahi par KHun-e-be-gunah
dega tere KHilaf dalael KHuda gawah

din-raat ek junun-e-talash-e-maash hai
ab koi munharif hai na qail KHuda gawah