ek kafir-ada ne luT liya
un ki sharm-o-haya ne luT liya
ek but-e-bewafa ne luT liya
mujh ko tere KHuda ne luT liya
aashnai buton se kar baiThe
aashna-e-jafa ne luT liya
hum ye samjhe ki marham-e-gham hai
dard ban kar dawa ne luT liya
un ke mast-e-KHiram ne mara
un ki tarz-e-ada ne luT liya
husn-e-yakta ki rahzani tauba
ek fareb-e-nawa ne luT liya
hosh-o-iman-o-din kya kahiye
shoKHi-e-naqsh-e-pa ne luT liya
rahbari thi ki rahzani tauba
hum ko farman-rawa ne luT liya
ek shola-nazar ne qatl kiya
ek rangin-qaba ne luT liya
hum ko ye bhi KHabar nahin 'gulzar'
kab but-e-bewafa ne luT liya
hae wo zulf-e-mushk-bu tauba
hum ko baad-e-saba ne luT liya
un ko 'gulzar' main KHuda samjha
mujh ko mere KHuda ne luT liya
Ghazal
Ek kafir-ada ne luT liya
Gulzar Dehlvi