ek ek sans mein sadiyon ka safar kaTte hain
KHauf ke shahr mein rahte hain so Dar kaTte hain
pahle bhar lete hain kuchh rang tumhaare us mein
aur phir hum usi taswir ka sar kaTte hain
KHwab muTThi mein liye phirte hain sahra sahra
hum wahi log hain jo dhup ke par kaTte hain
saunp kar us ko tere dard ke sare mausam
phir usi lamhe ko hum zindagi-bhar kaTte hain
tu nahin hai to tere shahr ki taswir mein hum
sare virane bana dete hain ghar kaTte hain
us ki yaadon ke parindon ko uDa kar 'azhar'
dil se ab dard ka ek ek shajar kaTte hain
Ghazal
Ek ek sans mein sadiyon ka safar kaTte hain
Azhar Naqvi