ek bujhao ek jalao KHwab ka kya hai 
aankhon mein rakh kar so jao KHwab ka kya hai 
panw-tale hai raund ke guzro kuchal ke dekho 
pichhe jao aage aao KHwab ka kya hai 
shelf pe ulTa kar ke rakh do aur bisra do 
gul-danon mein phul sajao KHwab ka kya hai 
KHwab ka kya hai raat ke naqsh-o-nigar banao 
raat ke naqsh-o-nigar banao KHwab ka kya hai 
nind mili hai guD se miThi shahd se shirin 
gao nacho nacho gao KHwab ka kya hai 
la-yani hai sab la-yani yani yani 
aur kahani likh kar lao KHwab ka kya hai 
ek kabaDi galiyon aawaz lagae 
rakh KHarido aag ke bhaw KHwab ka kya hai
        Ghazal
Ek bujhao ek jalao KHwab ka kya hai
Daniyal Tareer

