ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin
zindagani meri Thokar ke siwa kuchh bhi nahin
aap daman ko sitaron se sajae rakhiye
meri qismat mein to patthar ke siwa kuchh bhi nahin
tera daman to chhuDa le gae duniya wale
ab mere hath mein saghar ke siwa kuchh bhi nahin
meri TuTi hui kashti ka KHuda hafiz hai
dur tak gahre samundar ke siwa kuchh bhi nahin
log bhopal ki tarif kiya karte hain
is nagar mein to tere ghar ke siwa kuchh bhi nahin
Ghazal
Ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin
Kamil Bahzadi